Tuesday, June 26, 2012

Samajh Nahi Payi


Lehron ne mere kadmon ko chuma..
samajh nahi payi..kapkapa lehren rahi thi ya main...
Sansanati hawaon ke thapedon ne mujhe chua...
samajh nahi payi sansanahat hawaon mein thi ya mere badan mein..
Baarish ke cheenton ne mujhe bhigoya..
samajh nahi payi..nami boondon mein thi ya meri aankhon mein...
Dur samandar mein uthte toofan ko dekha..
samajh nahi payi..sailaab pani mein umad raha tha ya dil mein..

Samajh nahi payi..kyun mujhe kisi ke pyaar ka intezaar hai..
jab kudrat ki mohabbat mein bhi wohi khumar hai..
Samajh nahi payi..kyun dil kisi aur ki chaah mein hai..
kya ek baar tabah hona kafi na tha..jo kambakht phir tabahi ki raah mein hai..

No comments: