Tuesday, June 26, 2012

Pul

Pathar kuch bikhar gaye hain shayad...lakdiyan bhi kuch galne lagi hain..
Par ek sira maine pakad kar rakha hai abhi..yeh pul jo hamare darmiyaan hai..ruka hai abhi..maramad ke liye khula hai abhi...

Toofan bhi tez hai..aur lehren bhi oonchi uthi hain..par mujhe abhi ek aas hai..kuch toh vishwas hai..aapko iss par lana hai..ya fir khud hi doob jana hai....dekho toh sahi..yeh pul jo hamare darmiyaan hai..thama hai abhi...maramad ke liye khula hai abhi...

Rasta shayad kuch mushkil ho ab..kadam bhi dagmaga sakte hain...par ek chore hai..jo meri ore hai..maine thama hai abhi..yeh pul jo hamare darmiyaan hai..tika hai abhi..maramad ke liye khula hai abhi...

Ek baar hath badha do..sire khud hi jud jayenge..ab ki jo alag huye toh toote moti ki mala se bikhar jayenge..aa jao abhi..ki suraj ki roshni bhi hai..fir aankhon se ujale jate rahenge..aap shayad naya rasta dhundh bhi lo..par hum yahin lehron se takrate reh jayenge..kuch toh sambhala hai abhi...yeh pul jo hamare darmiyaan hai..datta hai abhi..maramad ke liye khula hai abhi...!!

No comments: