Friday, July 1, 2011

Aap aur Main

Aapki kali raat mein..main taron ki baraat hun...
Aapke dil mein dehakne wali..sabse tez aag hun...
Aapke gehre sagar mein..uthne wali har mauj hun main...
Aapki dhadkan ke har geet ka saaz...
Main wo barish... jo aapki rooh tak bhigo de..
Main wo roshni... jo aapke andhere kahin kho de...
Main aapki nazar..kabhi manzilen jo dhundhla jayen...
Wo hath jo aap thamo...jab kabhi kadam dagmaga jayen...
Main wo rehnuma hun..jahan aapko pahunchna hai...
Aur main hi uska safar..jo hanste hanste kat jaye...!!


Dua

Meri har sans mein aapka khayal rehta hai....
Meri har dua mein aapka sawal rehta hai.....
Aap ek bar meri yaadon se guzar ke toh dekho...
Aapke bina mera kya haal rehta hai....!!