Yeh meri khamosh mehfil hai...
Yahan aap ho main hun aur....
Yahan wo khatti meethi yaadein hain..
Wo anginat beeti baatein hain...
Wo sardiyon ki garam raatein hain...
Wo kabhi puri toh kabhi adhuri mulakatein hain....
Wo sham hai jahan barish se sab gila tha..
Wo din hai jahan amber kabhi kala toh kabhi nila tha...
Wo dhoop bhi hai jiski chaon aapki panahon mein mili...
Wo subah bhi hai jo angdai leti huyi aapki bahon mein mili...
Yahan wo hansi bhi hai..jis se mera har pal sunhera hua...
Kuch aansoo bhi hain..jis se pyar hamara gehra hua...
Yahan wo takrar bhi hai.. jisme kuch shikwe kuch gile the...
Yahan wo pyaar bhi hai..jisme mere honth aapke hontho se sile the...
Wo hazaron geet hain jo humne sath mein sune the...
Wo rangeen khwab hain jo ek dooje ke liye humne bune the...
Wo labhon ka thartharana hai..
wo badan ka kapkapana hai..
Wo hath pakad ke barish mein ghumna..
Wo bin baat hontho ka hontho ko chumna..
Wo barasti boondon mein bewajah bheegna...
Wo yaadein sambhalne ke liye..tasveerien kheenchna..
Wo ek hi plate se khana khana...
Wo aapki pyari si gadi mein kahin door tak jana..
Yahan wo har lamha hai jab aapne mujhe chua..
Wo ek safar bhi hai jo train se shuru hua...
Yahan wo platform ka lamba intezar bhi hai...
Wo lakhon pal.. jinse dil aaj bekarar bhi hai...
Roz sajti hai meri yeh khamosh mehfil..
Jahan aap ho...main hun..aur..
Wo yaadein..wo mulakatein..wo beeti baatein...!!
No comments:
Post a Comment