Thursday, November 24, 2011

Sawaal


Dil mein hamare..kai baar yeh sawaal aata hai...
Kyun aapka hi naam..labhon pe bar bar aata hai...
Kyun aapka hi khyal tasavur mein bekarar kar jata hai...
Kyun aapki nigahon ke jaam se hamara nazrein behakti hain...
Kyun aap ki hi khushboo se har pal hamara saansein mehakti hain...
Kyun aapke bin patjhad aur aapke sath manzar bahaar sa rehta hai...
Kyun aapke sath khamoshi mein bhi mehfil..aur waise yeh waqt khamosh sa behta hai...
Kyun aapse milne ki khwahish mein roz meri aankhen jagti hain..
Kyun aapke sath zindagi bitane ke khwabon se meri raatein sajti hain...
Kyun aaine mein khud ko dekh kar man sa itrata hai...
Kyun yeh aaina bhi mera nahi par aap hi ka aks dikhlata hai...
Kyun hathon ki rekhaon mein aapka chehre ban jata hai...
Kyun aap hi ka saya har ghadi mere sang lehrata hai...
Kyun aapko hi mathe par taqdeer sa likha hai..
Kyun jaise aapko pyar karna bhi khud aap hi se sikha hai...
Kyun hamara har dua mein aapka hi zikr aata hai..
Kyun aapke ke liye dua mangte mangte..aap hi mein rab dikh jata hai...
Kyun meri har hasrat ab aap par hi khatam ho jati hai..
Kyun aapse pehle hum bas zinda the..aur ab aap hi se saans aati hai aur zindagi kehlati hai...!!

No comments: