Thursday, March 17, 2011

For My Love

Aisa pehli baar hua hai..umar ke in tees salon mein...dekha bhala sa koi aane laga khayalon mein...Palkon ki chilman mein..uska saya sa lehrata hai...dil ke darwaze pe wo dastak deke jata hai...Meri sanson se uski khushboo aati hai...meri pagal dhadkan bhi uska hi naam sunati hai...Ankhen band karun ...toh wo sapna sa ban jata hai....Aankehn kholne par wo hi hakikat hai..yeh batata hai...Hathon ki lakeeron mein uska chehra sa ban jata hai...dekhte dekhte lakeeron se wo kismat hi ho jata hai...Khud ko uske hawale kiya hai..intezar uss pal ka hai jab wo hamehsa ke liye hume apnata hai...!!

No comments: