Showing posts with label dreams. Show all posts
Showing posts with label dreams. Show all posts

Thursday, November 24, 2011

Aap Kaho Ya Na Kaho..


Aap kaho ya na kaho..par Mujhe kuch shak sa hota hai...
Mera hi khayal kabhi..aapke labhon ki muskurahat ko modta hai..
Mera hi naam kahin daba sa hai aapke honthon par..
Wo main hi toh hun jiske chehre se kabhi dhundhla jati hai aapki nazar...
Aapki sanson se bhi kabhi meri hi khushboo aati hai..
Aapki dhadkan bhi kabhi mere geet sunati hai..
Aapki khamoshi mein kahin meri hansi khanakti hai...
Uss khamosh mehfil mein fir meri hi baatein sajti hain..
Mere bina waqt tham sa jata hai..aur mere sath tez jharne sa behta hai
Aapko bhi kabhi mera intezar rehta hai..
Meri yaadon se dil bekarar rehta hai...
Aapke hi dil mein rehti hun main..yeh aap hi kal dil aapse kehta hai..
Aap kaho ya na kaho..par Mujhe kuch shak sa hota hai...!!

Friday, July 1, 2011

Aap aur Main

Aapki kali raat mein..main taron ki baraat hun...
Aapke dil mein dehakne wali..sabse tez aag hun...
Aapke gehre sagar mein..uthne wali har mauj hun main...
Aapki dhadkan ke har geet ka saaz...
Main wo barish... jo aapki rooh tak bhigo de..
Main wo roshni... jo aapke andhere kahin kho de...
Main aapki nazar..kabhi manzilen jo dhundhla jayen...
Wo hath jo aap thamo...jab kabhi kadam dagmaga jayen...
Main wo rehnuma hun..jahan aapko pahunchna hai...
Aur main hi uska safar..jo hanste hanste kat jaye...!!